Search This Blog


Monday, May 28, 2018

Taraweeh kyu padte hain? Taraweeh ki namaz mein kitni rakat padna sahi hai 8 ya 20 ?

Taraweeh jise qayam-ul-lail ki namaz bhi kehte hain Ramzan mein ada ki jane wali ek ehem or khoobsurat ibadat hai.



Taraweeh ki namaz Isha ki namaz ke foran baad ada ki jati hai.Taraweeh ki namaz mein Quran-paak ki tilawat ki jati hai, or pure Ramzan ke Mahine mein ek Quran muqammal(complete) kiya jata hai or is tilawat-e-Quran ko muqammal karne ke liye alag-alag masjido mein alag alag din muqarrar kiye gaye hain. kahin 10 din kahin 15 kahin 21 din wagera wagera.

ye to rahi taraweeh se mutalliq aam baate, aaiye ab jante hain ki taraweeh ki namaz ki history kya hai ya taraweeh kyu padte hain?

(or Agar aap jaldi mein hain or  is sawal ka jawab dhund rahe hain Taraweeh ki namaz mein kitni rakat padna sahi hai  8 ya 20 ? to sabse niche jaiyye.)

                          Taraweeh kyu padi jati hain 

 Sahih Bukhari Hadees no.2012 mein Hazrat Aisha (wife of prophet mohammad s.a.w) farmati hain ki Ek bar Allah ke Rasool (s.a.w)  Adhi Raat ko masjid mein tashreef le gye or taraweeh ki namaz padhai to kuch logo ne bhi  Allah ke rasool ke  pichhe namaz ada ki or jab subah hui to logo ne apas mein ek dusre se raat ada ki gayi is namaz ka zikr kiya to agli raat or zyada log masjid mein aaye or allah ke rasool ke pichhe taraweeh ki namaz ada ki fir teesri raat bhi aisa hi hua , masjid mein or zyada log bad gaye or sab ne allah ke rasool ke pichhe taraweeh(Qayam-ul-lail) ki namaz ada ki fir agle din yani 4th night logo se masjid puri tarha bhar gayi lekin Allah ke rasool(s.a.w) us raat masjid mein Tashreef nhi laaye tab subah allah ke rasool ne logo se farmaya ki tum logo ke masjid mein aane ka mujhe ilm tha lekin main isliye nahi aaya  kyunki mujhe darr tha ki   ye namaz (yani taraweeh ki namaz) Allah tumhare upar Farz na karde.

Is hadees se taraweeh ki namaz se related 3 baate ekdam clear ho jati hain.-

1. Taraweeh ki namaz Farz nahi hai.

2. Allah ke rasool(s.a.w)  Qayam-ul-lail ki namaz yani taraweeh ki Namaz aadhi raat ke waqt ada kiya karte the..

3. Allah ke Rasool (s.a.w) ki wafaat ke baad bhi ese hi ye silsila chalta raha yani log apni alag alag namaz ada kiya karte the.

ye to rahi baat taraweeh ki history se related , Aiyye ab baat karte hain ki Taraweeh ki namaz Isha ke baad padna kab se start hui -ji haan taraweeh ki namaz isha ke foran baad padne ka huqm Allah ke rasool ne nhi diya balki ye silsila hazrat Umar(r.a) ne shuru kiya .
aiyye jante hain kese-


  • Sahih Bukhari Hadees no.2010 mein hai ki Ramzan ki Ek raat Hazrat umar (raziallahu anha) masjid mein tashreef le gye to waha dekhte hain ki kuch log apni apni alag namaz pad rhe hain to kuch log kisi ek khaas group mein imaam ke piche namaz pad rahe hain tab hazrat umar ne sabko ek jagh ikathha karke ek imaam ke pichhe taraweeh ki namaz padai .

  • yahi wo hadees hai jisse pata chalta hai ki Hazrat umar (raziallahu anha) ne Isha ki namaz ke baad sabko ek imaam ke pichhe namaz padai.
Aiyye ab jante hain ki Taraweeh ki namaz mein kitni rakaat padna sahi hai 8 ya 20 ?
Aaj kal bohot se maslaq ke log apas mein ek dusre se lad rahe hain wo bhi sirf itni si baat par ki taraweeh 8 sahi hai ya 20 . 
Ek musalman dusre musalman se ladai karta hai ek kehta hai 8 padna sahi or dusra kehta hai 20 padna sahi , Aiyye jante hain ki Taraweeh ki kitni rakaat padna sahi hai - 

Jese ki hum upar pad chuke hain ki taraweeh farz ibadat nahi hai isliye taraweeh ke masle mein ek-dusre se ladai karna ek dam fizool baat hai.
  • (1).  Sahih Bukhari Hadees no.1147 mein Hazrat Aisha (r.a) Farmati hain ki Ramzan ke mahine mein Allah ke Rasool hamesha 11 rakat hi ada kiya karte the isse zyada nahi(11 rakaat ka matlab 8 rakaat taraweeh+3 rakaat witr).
  • (2). Sahih Bukhari hadees no.472 mein Allah ke rasool ne farmaya ki Raat ki namaz mein 2-2 rakaat karke jitni bhi chahe rakaat pad sakte hain or bas ek rakaat witr last me zarur ada karle taki namaz ka sequence taak ban jaye.
  • (3). Musannaf ibn abi Shaibah vol.2 page 165-166 se pata chalta hai ki tabaeen 20 rakaat namaz-e-taraweeh ada kiya karte the.
To in teeno points se pata chalta hai ki taraweeh mein 8 rakaat padna bhi sahi hai or 20 bhi pad sakte hain.
isiliye makka or haram mein taraweeh ki 20 rakaate ada ki jati hain.

pyare musalmano aaj  islam ka daur daleelo ka daur hai bina daleel ke koi bhi yaqeen nahi karta or ye ek achhi baat bhi hai jab tak islam ke kisi masle ko check na karle tab tak us par ek dam se yaqeen nahi karna chahiye kyunki zaruri nahi ki jo kuch hum aajtak sunte aaye ho ya dekhte aaye ho wo Quran ya Sahih Hadees se sabit ho isliye deen ka koi masla jab kisi se sune to uski daleel(reference ) zaroor mange . Allah Hafiz

Agar type karne mein ya kisi lafz mein mujhse koi galti ho gyi ho to mujhe maaf karde or agar kisi ko kisi masle par kuch discuss karna ho ya puchhna ho to mujhe meri E-mail i.d aasaanislam@gmail.com par contact kare

Saturday, May 26, 2018

NAMAZ KI AHMIYAT , NAMAZ ZARURI KYU ?

NAMAZ KI AHMIYAT


Namaz padna har musalman par farz hai , fir chahe wo Mard ho ya Aurat.
Namaz insan ko Allah ke kareeb karne ka ek zariya hai.
Aiyye jante hain ki Ek musalman ke liye Namaz ki kya ehmiyat hai ya Musalman ke liye namaz kyu zaruri hai.




Namaz ki ehmiyat - 

Wednesday, May 23, 2018

SURAH QURAISH OR ISKA TARJUMA(Meaning) HINDI ME.

SURAH QURAISH (106) or ISKA HINDI TARJUMA


> Surah-ul-quraish Quran paak ki 106 number ki surah hai or para   30 jise AMMA  kehte hain mein mojud hai.

> Is surah mein sirf 4 ayat mojud hain.surah chhoti hai is wajh se is surah ko namaz mein aasaani se pada jaa sakta hai , or ye surah  aasaani se yaad ki jaa sakti hai.


Surat-ul-Quraish(106)

بِسۡمِ اللّٰہِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ
(Bismillah hirrah manir-raheem)
  shuru Allah ke naam se jo bohot  meherbaan  rehem karne wala hai.

(1)لِاِیۡلٰفِ قُرَیۡشٍ 
(Li-ielaafi quraishim)
Quraish ko manoos karne ke liye (1)

(2)اٖلٰفِہِمۡ  رِحۡلَۃَ  الشِّتَآءِ  وَ الصَّیۡفِ
(eelaafihim rihlatash-shitaa iwassaif)
unhe sardi-garmi ke safar se manoos karne ke liye (2)

(3)فَلۡیَعۡبُدُوۡا  رَبَّ ہٰذَا الۡبَیۡتِ ۙ
(fal-yabudu rabba haazal bait)
pas unhein chahiye ki wo ibadat kare is ghar ke rab ki (3)


(4)الَّذِیۡۤ  اَطۡعَمَہُمۡ  مِّنۡ جُوۡعٍ   ۬ ۙ وَّ اٰمَنَہُمۡ مِّنۡ خَوۡفٍ 
(allazee at-amahum min joo-iun waa-aamanahum min khauf)  
jisne unhe bhookh mein khana diya or khauf(darr) mein aman diya. (4) 


ye surat-ul-Quraish or iska aasaan hindi tarjuma hai dusri surah or uska aasaan tarjuma janne ke liye hmare blog ke homapage par jaiyye or upar diye gye "SEARCH" button par click kijiye or jis surah ka tarjuma aap janna chahte hain use type kijiye.


  

Tuesday, May 22, 2018

Namaz mein Padi jane wali 10 Ehem surah or Unka Tarjuma.

Namaz mein padi jane wali 10 ehem surah or unka tarjuma-


Namaz farz ibadat hai ,jis tarha namaz ko padna farz (zaruri) hai usi tarha isko sikhna bhi farz hai.
Agar aap namaz padte ho or apko namaz mein padi jane wali surah nahi aati ya unka tarjuma(meaning) nahi aata to namaz padne mein dilchaspi nhi aegi, isliye har musalman ka farz hai ki wo namaz main padi jane wali surah ko sikhe or sath main uska tarjuma(meaning)bhi jane taki namaz padte waqt pata ho ki hum allah ke samne khade hokar kya bol rahe hain.
jo log quran ke hafiz nahi hain unko kam se kam 10 surah to hifz honi hi chahiye taki namaz ko sahi se pad sake ,
To aiyye namaz mein padi jane wali 10 ehem surah ko sikhte hain.


1.Surah feel (105) or uska tarjuma hindi me -  yaha 105 ka matlab hai , ki ye quran mein 105 no. ki surah hai jisko surah feel kehte hain.👇

بِسۡمِ اللّٰہِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ
Bismilla hirrah marir-raheem
  shuru Allah ke naam se jo bohot  meherbaan  rehem karne wala hai.
(1)اَلَمۡ  تَرَ کَیۡفَ فَعَلَ رَبُّکَ  بِاَصۡحٰبِ الۡفِیۡلِ
Alam tara kaifa fa-ala rabbuka bi-as haabil feel (1)
   kya aap(s.a.w) ne nahi dekha ki aap ke Rab(Allah) ne kya  sulook kiya hathi walo ke sath (1)
(2) اَلَمۡ  یَجۡعَلۡ  کَیۡدَہُمۡ فِیۡ  تَضۡلِیۡلٍ
Alam yaj-al kaida hum fee tazleel (2)

             Kya unke daao ko bekar nahi kar diya (2)
(3)وَّ  اَرۡسَلَ عَلَیۡہِمۡ  طَیۡرًا  اَبَابِیۡلَ ۙ
wa-arsala alaihim tairan abaabeel (3)

              or un par jhund ke jhund parinde bheje (3)
(4)تَرۡمِیۡہِمۡ  بِحِجَارَۃٍ  مِّنۡ سِجِّیۡلٍ ۪ۙ
Tarmeehim bihijaa ratim-min sijjeel (4)

         jo un par mitti or patthar ki kankariye maar rahe the (4)
(5)فَجَعَلَہُمۡ کَعَصۡفٍ مَّاۡکُوۡلٍ 
faja-alahum ka-asfim makool (5)

           pas unko khaye hue bhoose ki tarha kar diya (5)

To ye surah feel (105) or uska tarjuma tha , baaki surah ke baare mein janne ke liye hmare blog mein sabse upar diye gye Search button par click kre or baaki ki surat type kre.
baaki 9 surah ke naam is tarha hain-

2. Surah Quraish (106)
3. Surah Maoon (107)
4. Surah Kausar (108)
5. Surah Kafiroon (109)
6. Surah Nasar (110)
7. Surah Tabbat (111)
8. Surah Ikhlaas (112)
9. Surah Falaq (113)
10. Surah Naas (114)

WHAT IS NAMAZ (NAMAZ KYA HAI ) ?

NAMAZ-


 Aiyye point by point namaz ko jante hain -
> Namaz ko Arbi mein salaat kehte hain .
> Islam ke 5 pillars mein se Namaz sabse eham pillar hai.
> Namaz ek devine meditation hai. 
> Duniya ko Bhoolakar Allah ke kareeb hone ka ek khoobsurat zariya hai Namaz .

Namaz ka padna har musalman par Farz(compulsory) hai, chahe mard ho ya aurat namaz dono par hi farz hai.

Ek Din mein 5 waqt ki Namaz musalmano par farz ki gyi hai.
jinke naam is tarha hain-
1.Fajar    2.Zohar    3.Asar   4.Maghrib   5.Isha

1.Fajar - subah suraj nikalne se thoda pehle hone wali Namaz ko fajar ki namaz kehte hain.


2.Zohar- jab sooraj asman mein ekdm upar hota hai yani dopahar ke waqt hone wali namaz zohar kehlati hai.


3.Asar- ye namaz dopahar ke akhri waqt mein perform ki jati hai yani teesra-peher mein perform hone wali namaz asar kehlati hai.


4.Maghrib- sooraj doobne ke foran baad padi jane wali namaz maghrib kehlati hai.


5.Isha-Isha ki namaz maghrib ki namaz ke lagbhag 1 ghanta baad perform(padi) ki jati hai

Monday, May 21, 2018

WELCOME ON A HUGE ISLAMIC BLOG

Welcome on a Huge Islamic Blog


Bismillah hirrah manir-raheeem 👇

Hello friend , I am Jamal professionally a civil engineer. I passionate about Islam.
Emaan is the Foundation of Islam , 
My vision is to Provide Islamic Knowledge to every people in very Easy manner.
Islam(Deen) and Duniya is not a separate thing but Both are made for each other.
for e.g- if duniya is a car then Islam is Driver to Drive this Car.
means Islam is the manual which tells us about How to Drive a car of duniya.

so  we will learn about Islam step by step.
                           Inshaallah
ALLAH HAFIZ