Search This Blog


Monday, May 28, 2018

Taraweeh kyu padte hain? Taraweeh ki namaz mein kitni rakat padna sahi hai 8 ya 20 ?

Taraweeh jise qayam-ul-lail ki namaz bhi kehte hain Ramzan mein ada ki jane wali ek ehem or khoobsurat ibadat hai.



Taraweeh ki namaz Isha ki namaz ke foran baad ada ki jati hai.Taraweeh ki namaz mein Quran-paak ki tilawat ki jati hai, or pure Ramzan ke Mahine mein ek Quran muqammal(complete) kiya jata hai or is tilawat-e-Quran ko muqammal karne ke liye alag-alag masjido mein alag alag din muqarrar kiye gaye hain. kahin 10 din kahin 15 kahin 21 din wagera wagera.

ye to rahi taraweeh se mutalliq aam baate, aaiye ab jante hain ki taraweeh ki namaz ki history kya hai ya taraweeh kyu padte hain?

(or Agar aap jaldi mein hain or  is sawal ka jawab dhund rahe hain Taraweeh ki namaz mein kitni rakat padna sahi hai  8 ya 20 ? to sabse niche jaiyye.)

                          Taraweeh kyu padi jati hain 

 Sahih Bukhari Hadees no.2012 mein Hazrat Aisha (wife of prophet mohammad s.a.w) farmati hain ki Ek bar Allah ke Rasool (s.a.w)  Adhi Raat ko masjid mein tashreef le gye or taraweeh ki namaz padhai to kuch logo ne bhi  Allah ke rasool ke  pichhe namaz ada ki or jab subah hui to logo ne apas mein ek dusre se raat ada ki gayi is namaz ka zikr kiya to agli raat or zyada log masjid mein aaye or allah ke rasool ke pichhe taraweeh ki namaz ada ki fir teesri raat bhi aisa hi hua , masjid mein or zyada log bad gaye or sab ne allah ke rasool ke pichhe taraweeh(Qayam-ul-lail) ki namaz ada ki fir agle din yani 4th night logo se masjid puri tarha bhar gayi lekin Allah ke rasool(s.a.w) us raat masjid mein Tashreef nhi laaye tab subah allah ke rasool ne logo se farmaya ki tum logo ke masjid mein aane ka mujhe ilm tha lekin main isliye nahi aaya  kyunki mujhe darr tha ki   ye namaz (yani taraweeh ki namaz) Allah tumhare upar Farz na karde.

Is hadees se taraweeh ki namaz se related 3 baate ekdam clear ho jati hain.-

1. Taraweeh ki namaz Farz nahi hai.

2. Allah ke rasool(s.a.w)  Qayam-ul-lail ki namaz yani taraweeh ki Namaz aadhi raat ke waqt ada kiya karte the..

3. Allah ke Rasool (s.a.w) ki wafaat ke baad bhi ese hi ye silsila chalta raha yani log apni alag alag namaz ada kiya karte the.

ye to rahi baat taraweeh ki history se related , Aiyye ab baat karte hain ki Taraweeh ki namaz Isha ke baad padna kab se start hui -ji haan taraweeh ki namaz isha ke foran baad padne ka huqm Allah ke rasool ne nhi diya balki ye silsila hazrat Umar(r.a) ne shuru kiya .
aiyye jante hain kese-


  • Sahih Bukhari Hadees no.2010 mein hai ki Ramzan ki Ek raat Hazrat umar (raziallahu anha) masjid mein tashreef le gye to waha dekhte hain ki kuch log apni apni alag namaz pad rhe hain to kuch log kisi ek khaas group mein imaam ke piche namaz pad rahe hain tab hazrat umar ne sabko ek jagh ikathha karke ek imaam ke pichhe taraweeh ki namaz padai .

  • yahi wo hadees hai jisse pata chalta hai ki Hazrat umar (raziallahu anha) ne Isha ki namaz ke baad sabko ek imaam ke pichhe namaz padai.
Aiyye ab jante hain ki Taraweeh ki namaz mein kitni rakaat padna sahi hai 8 ya 20 ?
Aaj kal bohot se maslaq ke log apas mein ek dusre se lad rahe hain wo bhi sirf itni si baat par ki taraweeh 8 sahi hai ya 20 . 
Ek musalman dusre musalman se ladai karta hai ek kehta hai 8 padna sahi or dusra kehta hai 20 padna sahi , Aiyye jante hain ki Taraweeh ki kitni rakaat padna sahi hai - 

Jese ki hum upar pad chuke hain ki taraweeh farz ibadat nahi hai isliye taraweeh ke masle mein ek-dusre se ladai karna ek dam fizool baat hai.
  • (1).  Sahih Bukhari Hadees no.1147 mein Hazrat Aisha (r.a) Farmati hain ki Ramzan ke mahine mein Allah ke Rasool hamesha 11 rakat hi ada kiya karte the isse zyada nahi(11 rakaat ka matlab 8 rakaat taraweeh+3 rakaat witr).
  • (2). Sahih Bukhari hadees no.472 mein Allah ke rasool ne farmaya ki Raat ki namaz mein 2-2 rakaat karke jitni bhi chahe rakaat pad sakte hain or bas ek rakaat witr last me zarur ada karle taki namaz ka sequence taak ban jaye.
  • (3). Musannaf ibn abi Shaibah vol.2 page 165-166 se pata chalta hai ki tabaeen 20 rakaat namaz-e-taraweeh ada kiya karte the.
To in teeno points se pata chalta hai ki taraweeh mein 8 rakaat padna bhi sahi hai or 20 bhi pad sakte hain.
isiliye makka or haram mein taraweeh ki 20 rakaate ada ki jati hain.

pyare musalmano aaj  islam ka daur daleelo ka daur hai bina daleel ke koi bhi yaqeen nahi karta or ye ek achhi baat bhi hai jab tak islam ke kisi masle ko check na karle tab tak us par ek dam se yaqeen nahi karna chahiye kyunki zaruri nahi ki jo kuch hum aajtak sunte aaye ho ya dekhte aaye ho wo Quran ya Sahih Hadees se sabit ho isliye deen ka koi masla jab kisi se sune to uski daleel(reference ) zaroor mange . Allah Hafiz

Agar type karne mein ya kisi lafz mein mujhse koi galti ho gyi ho to mujhe maaf karde or agar kisi ko kisi masle par kuch discuss karna ho ya puchhna ho to mujhe meri E-mail i.d aasaanislam@gmail.com par contact kare

No comments:

Post a Comment